Friday 16 March 2012

meri maano abhi tum ishq mat karna ...RaO

" suno larki...
meri maano abhi tum ishq mat karna
abhi gurrya se khelo tum
tumhaari umr hi kya hai
faqat athra baras ki ho
abhi masoom bachi ho
nahin maaloom abhi tumko k 
jab ye ishq hota hai
to insaan kitna rota hai
sitaaray toot jatay hain
saharay chhoot jatay hain
abhi tum ne nahi dekha k
jab saathi bichhartay hain.....
to kitna dard hota hai
k har forqat k mosam main
hazaro gham ubhartay hain
hazaro zakhm khultay hain
suno larki...
meri maano padhaayi par tawajo do
kitaabon main gulabon ko......
kabhi bhoolay se mat rakhna
kitaabain jab bhi kholo gi
ye kaanton ki tarah dil main chubhengay,
khoon bahayengay
tumhain pehron satayengay
kisi ko khat nahin likhna
likhayi pakrri jaati hai
barri ruswayi hoti hai
kisi ko phone mat karna
sadayain dil dukhati hain
wo awazain satati hain
meri nagmain nahin parhna
ye mehshar ko utha degi
tumhain pagal bana degi
suno larki... meri maano ".........RaO

No comments:

Post a Comment

Before u comment on This Post Select
Comment as: Anonymous
& plz Comment with your Name....RaO