Monday 19 March 2012

tujh par bhi koi ilzam sahi


Ye husn tera ye ishq mera, rangin to hai badnam sahi
mujh par to kai ilzam lage, tujh par bhi koi ilzam sahi
is raat ke nikhari rangat ko, kuch aur nikhar jane de zara
nazron ko bahak jane de zara, zulfon ko bikhar jane de zara
kuch der ke hi taskin sahi, kuch der ka hi aaram sahi
jazbat ke kaliyan chunana hai ,aur pyar ka tohfa dena hai
logon ke nigahen kuch bhi kahen, logon se hamen kya lena hai
ye khas ta’alluq aapas ka, duniya ke nazar mein aam sahi
rusavai ke dar se ghabara kar, hum tark-e-vafa kab karte hain
jis dil ko basa lain pehlu mein, us dil ko juda kab karte hain
jo hashr hua hai lakhon ka, apna bhi wohi anjam sahi
ye husn tera ye ishq mera, rangin to hai badnam sahi
mujh par to kai ilzam lage, tujh par bhi koi ilzam sahi.

No comments:

Post a Comment

Before u comment on This Post Select
Comment as: Anonymous
& plz Comment with your Name....RaO